Tuesday 22 January 2013

Tazad-e-Jazbat Mein Yeah Nazuk Muqam Aya To Kia Kero Gaye

Tazad-e-Jazbat Mein Yeah Nazuk Muqam Aya To Kia Kero Gay By Qabil Ajmeeri
Tazad-e-Jazbat mein yeah nazuk muqam aya to kia kero gaye
Mein ro raha hoon to hans rahay ho, Mein muskuraya to kia kero gay?
Mujhe to is darja waqt-e-rukhsat Sakoon ki talqeen ker rahay ho
Magr kuch apne liye bhi socha mein yaad aya to kia kero gay?
Abhi to tanqeed ho rahi hai mere mazaq-e-junoon pe lekin
Tumhari zulfoon ki barhami ka sawal aya to kia kero gaye?
Tumharay jalwoon ki roshni mein nazar ki hairaniyan muslim
magr kisi ne nazar ke badle jo dil azamaya to kia kero gaye ?
Utar to sakte ho paar lekin maal per bhi nigha dhalo
Khuda na karda sakoon-e-sahil na raas aya to kia kero gaye?
Kuch apne dil per bhi zakhm khaoo mere lahoo ki bahar kab tuk
Mujhe sahara banay waloo mein larkharaya to kia kero gaye?
Abhi to daman churda rahay ho, bigar ke Qabil se jaa rahay ho
Magr kabhi jo dharknoon mein shareek paya to kia kero gaye

Sab Se Chupa Ker Durd Jo Wo Muskura Diya

Sab Se Chupa Ker Durd Jo Wo Muskura Diya


Sab Se Chupa Ker Durd Jo Wo Muskura Diya
Sab se chupa ker durd jo wo muskura diya
Uski hansi ne to aaj mujhe rula diya
Lehje se uth raha tha Her ik durd ka dhuwa’n
Chehra bata raha tha ke kuch ghanwa diya
Awaz mein tehraoo tha ankhoon mein nami thi
Aur keh raha tha ke mein ne sab kuch bhula diya
Janay kia usko logoon se thien shikyatien
Tanhayoon ke dais mein khud ko basa diya
Khud bhi wo hum se bichar ker adhoora sa ho gaya
mujh ko bhi itne logoon mein tanha bana diya!!!

Template by:

Free Blog Templates